Tuesday 3 May 2011

Maine samay ko badalte dekha hai!

Maine samay ko badalte dekha hai,

Pal bher mai jeevan ko guzarte dekha hai...

Maa ki god mai un bhishan shardiyo,
ko chu-mantar hote dekha hai.
Kabhi papa ke darr se, khud ko,
maa ke achal mai chupte dekha hai.
Bhai se hui un asankhya ladai ke baad,
ki chuppi ko dekha hai.
Befikri ki us mast maula jeevan ko, 
sapno mai khote dekha hai.
Bachpan ki shararato ko yaad kerke,
khud ko haste hue dekha hai.
Aur, apne pyare se bachpan ko,
khuli aakhon se ojhal hote dekha hai...


Shayad maine samay ko badalte dekha hai...
 
Dheere se chadte is kishora-awastha,
ke rang ko dekha hai.
Yaar dosto ke sang,
khud ko her galat kam kerte dekha hai.
Papa ke paise per,
khud ko hazaro ayiyashiyo mai doobe dekha hai.
Us pehle pyaar ke khone per,
khud ko akele sisakte dekha hai. 
Jeevan mai kuch banane ki chah ko,
hatash hoker chhutate dekha hai.
Rishto ki uchayiyo se,
khud ko girte dekha hai.
Faiz, Firaq, Bachchan, Dinker ke shabdo mai,
khud ko ramte dekha hai.
Jaisa hoon mai, khud ko,
waisa bante dekha hai...



Shayad, maine samay ko badalte dekha hai....


 


No comments:

Post a Comment